Pages

Thursday 14 July 2016

Pani Se Chehra Khubsorat Karny Ke Tariqy Pani Se Sehat Banany Ka Tariqa In Urdu

Pani Se Chehra Khubsorat Karny Ka Tariqa Aur Pani Se Sehat Banay




Insani sehat ke liye pani ki bohat zeyada ehmiyat hai. Pani ke munasab istamal se chehry ki khubsorti mein bhi azafa kiya ja sakta hai khawateen chehry ki jild ko saf sotrah aur shadab banany ke liye tarah tarah ke jatan karti hai taham sirf pani ke chand galas wo kam kar sakty hain jin ke liye khawateen mehngy lostion aur creamy istamal karti hai pani hamari jild ko qudarti nami farahm karta hai aur lostion ya dighar maoshraizarz se hasil hony wali nami is ka muqabla nahi kar sakti, is maqsad ke liye waqfy waqfy se pani piny ki adat bana le. Mahireen ke mutabiq sirf life style mein misbat tabdili la kar chehry ki tazgi bahal ki ja sakti hai. Agar ap raat deer tak jaghny aur subha deer tak sony ki adat hai tou isy badalna ho ga, raat jitni jaldi  mumkin ho so jay aur subha soraj nikalny se pehly bedar ho hon,  uthny ke bad sab se pehla kam pani pina hai is ke bad aik ghanty tak nashta kary pani hamesh khany se qabal piye ya khany ke doran chand ghont pani pi lye taham khana khatam karny ke bad pani piny se na sirf maeda kharab hota hai balke jighar ke masayal peda hoty hain aur yon chehry ki ronaq mein bhi kami ati hai. Din mein kam z kam teen litr pani zaror piye koshish kary ke peyas lagny se qabal pani pi le. Din mein aik bar kisi bhi waqt aik galas pani mein aik khany ka chamach chini aur do chotki namak mix kar ke piye is se na sirf tawanai bahal rahy gi balky namkiyat ki kami bhi kisi had tak pori ho gi. Pani se chehra dhona bhi jild ki tarotazgi mein azafa karta hai gharmiyon ke mousam mein din mein kam z kam 5 bar thandy pani se chehra dhoye, agar ap ki jild chikni hai tou phir is se bhi zeyada bar dhona mufeed rahy ga.

Chehry Ki Jild Mein nikhar Pedha Karny Ke Garelu Nuskhy Chehry Ki Chaiyon Aur Dano Se Bachny Ki Home Remedy

Jild Ki Hifazat Chehry Ke Husan Mein Nikhar Pedha Karny Ke Garelu Totky







Chehry ki hifazat urat ke husan mein nikhar pedha karti hai jis se urat ka husan aur barh jata hai har urat yahi chahy gi ke us ke husan mein nikhar pedha ho aur din b din us ka chehra nikhry. Husan wo sika hai jo dilo par chalta hai. Hussan ki ehmiyat kisi dor mein kam nahi hoi balke is ki ehmiyat mein roz afzon azafa hi howa hai. asar hazir mein tou feshion ka shaor har khaton ko hai jabhi tou madals aur feshion se wabsta khawateen se le kar gharelo khawateen tak sabhi apni jild aur rangaat ke bary mein bohat muhtaat rehti hai. Nit nai creamy aur totko ka istamal aam hai lekin yaha par ye dekhna zarori hai ke bazari creamon aur mask mein bohat zeyada cemicalls shamil hoty hai is liye ghar mein majood qudarti ashiya se mask teyar kiye jaty hain jo har tarah ke muzar asraat se pak ho gai. Chand aik darjah zeel hai:





Chayion Ke Liye:

Adha chamach lemon ka ras , adha haldi aur do chamachy shehad mila kar mask bana le aur hafty mein do teen bar istamal kary.

Dano Ke Nishanat Ke Liye:

Roghan zetoon aur roghan kado hum wazan mila kar chehry par un jaghon par lagay jaha dano ke nishanat reh gai ho is masaj ka istamal us waqt tak kary jab tak nishanat mukamal toor par khatam na ho jay.

Ghandi Rangat Mein Nikhar Pedha Karny Ke Liye:

Doodh aur asli shehad hum wazan baham mila le aur rozana das se pandrah mint ke liye is ka mask lagai.

Kushak Jild Ko Jhariyon Se Bachany Ke Liye: 

Badam ka teel, araq  e Gulab aur cester oil hum wazan mila kar rakh le aur hafty mein aik bar is ka mask lagai.

Kalwanji: 

Daniya aur chanbeli ke arqiyat ko barabar miqdar mein mila kar rakh le. Rozana das se pandrah mint in ka chehy par misaj kary aur phir neem gharam pani se munh doh le. Is se na sirf chehry ki calinzing ho jay gi balky tamam mussam khol jay gai aur dorany khoon bhi taez ho ga.

Saturday 11 June 2016

Balon Ko Ghany Karny Ka Tariqa Aur Girny Se Rokhny Ki Home Remedy In Urdu

Balon Ko Ghana Karny, Balon Ke Girny Ko Rokhny Ke Liye Qudarti Nuskhy Garelu Totky





Har urat ki khawesh hoti hai ke us ke bal lamby ho lekin baz oqat damag ki kamzori ki wajah se bal girna shoron ho jaty hai aur kuch logon ke bal patly hoty hai jis ki wajha se preshan hoty hai. Asy logo ke liye hum ne gharelu nuskhy teyar kiye hai is se ap ke bal lamby aur ghany ho jay gye.

Balon Ko Ghana Karny Aur Girny Se Rukny Ke Garelu Tariqe




  1. Aik cup amla ya amla teel mein aik killo khopry ka teel dal kar ubal lye. Phir is mein aik khany ka chamach lemon joos ya lemon ko chilky samaet piss kar daly aur thori si kali mirachy dal kar mix kar lye. Hafty mein teen din raat ko balon mein laga kar so jaye aur subha kisi achy shampo se bal do lye.
  2. Apni khurak mein salad ke pato aur palak ka joos shamil kary.
  3. Lemon kae biejh aur kali mirchy hum wazan lye kar piss kar phest bana ly phir is phest ko rozana apny sar pe 10 se 15 mint ke liye lagye is ke bad balon ko shampo se do lye. Dehan rakhy ke phest ap ki ankhon mein na jaye.
  4. Methi ke biejh piss kar pani ke sath mix kar ke phest bana lye aur 15 mint se ly kar taqribaan aik ghanty tak sar par lagay aur phir bal do lye.
  5. 1/2 killo khopry ke teel mein aik tiko adrak, aik jawa lehsan ka aur aik romal ke size jitna bori ka tokhrah dal kar pakhjy , Jab dekhiye ke is amezy ka rang brown ho gya hai tou aik chotli molethi powder aur kati kali mirch dal kar mix kary, Phir is mein thorah betha soda methiyason losan dal kar mix kar ly phir is teel ko raat ko sar par laga kar so jaye subha baby shampo se bal do lain.

Friday 13 May 2016

Sabz Chaye Se Wazan Ko Kam Karny ka Tariqa Wazan Kam Karny Ki Home Remedy In urdu

Sabz Chaye Se Wazan Kam Karny Ke Tariqe Weight Loss Home Remedy in Urdu





Wazan kam karny ke liye sab se pehly ap zeyada se zeyada pani piye sabz chaye ka istamal apni khurak ka hisa bana ley. Din mein teen cup sabz chaye zaror piye jitna khana ap teen waqt mein khaty hai us khany ko ap panch hisoo main taqseem kary aur panch waqt khaye is se ap ka nizame hazam theek ho ga. chikni cheezo se parhaez kary ghosht na balke sabziya aur phal zeyada istamal kary bekri ki cheezy aur choclate bilkul istamal na kary 30 min warzish kary ya koi esah kheel kheliye jis se ap ka jisam musalsal harkat kary khany ke foranh badh na soye balky khana sony se do ghanty pehly khaye.

Wazan Kam Karny Ke Totky wazan Ko Kam karny ki Home Remedy




  1. Aik glass neem garam pani mein aik chamach shehad dal kar rozana subha sawery piye.
  2. Adha glass karely ke jhoos mein aik lemon ka ras dal subha sawery piny se wazan kam hota hai.
  3. Aik glass neem garam pani mein aik lemon ka ras aur aik chamach shehad dhal kar rozana subha piye.
  4. Roz subha khali pet aik ya do tamather khany se bhi mothapa jqam hota hai.
  5.  Taza gajar ka jhos lye is mein torah sa pani shamil kary aur garedar mein dal kar mix kar lye phir usy din mein aik dhafa pi lye teen mahino mein ap ka wazan kam ho jaye ga.
  6. Band gobhi ka salad istamal kary ya band gobhi ubal kar istamal kary.
  7. Roz subha khali pheet  10 se 12 taza kari pata kha lye is se ap ka wazan kam ho ga.

Wednesday 23 March 2016

Best Kharish Ka Desi Ilaj Skin Allergy Treatment Home Remedy Kharish Kay Liay Garelu Totky In Urdu

Kharish Ko Katham Karny Ke Liye Nuskha Homemade Skin Care Tips Kharish Se Nijat:







Kharish aik bohat bori bimari hai jis se insan bohay taklif mein rehta hai kharish do kisam ki hoti hai aik kuskh aur aik tar in do ki wajah se insan bohat taklif uthata hai is ka ilaj bohat asan ho geya hai hum asani se in dono tarha ki kharish se nijat hasil kar sakte hai.  Kharish chahy kuskh ho ya tar dono ke liye hi fayde mand hai, Mera chota beta jab aik saal ka tha to us ko bohat zeyada kharish parh gai aur mein pareshan ho gai kyn ke us ki peeth par bohat zakham ho gay thay aur us ki wajah se hum sub ko bhi kharish parh gai. Kafi injection lagway, Marham lagai, Dawaiya khilai maghar koi faraq na phara. Mujhy apny betey ki bohat fikar hoi ke itna chota hai kahin kuch ho na jaye. Phir hamain kisi ne bataya ke amla saar gandhak pees kar sarso ke tel main mila kar lagay. InsahAllah bohat jaldi aram a jay ga. Waqaei phir aesa hi howa aur itni jaldi aram a geya ke yaqeen hi nahi a raha tha.

Sunday 20 March 2016

Dar Cheeni Se Dil, Maeda, Matli, Flu Aur Shareyano Mein Khoon Jama Hony Se Rokny Ka Desi Ilaj Dil Ki Bimariyan In Urdu

Dar Cheeni Ke Fawayd Dalchini Ke Faide Vomiting Treatment At Home In Urdu








Dar cheeni ke bohat se fayde hai is ke istemal se hum maede ki aur dil ki bimari se bach sakhty hai dar cheeni ka rozmarah ke istemal se hamary hamary jisam mein aik quwwat peda hoti hai isse flu bhi katam ho sakhta hai dar cheeni se matli ki bimari se hifazat karta hai aur jisam mein kon jamny nahi deta.Baraysaghir ke khano mein garam masaloh ka istemal aik aeham juz hai, Dar cheeni ka baqayda istemal jaryan, Flu, Matli aur maeda ki kharabi ko katam karny mein madadgar sabit hota hai.



Dar Cheeni Benifits List In Urdu


  1. Dar cheeni ka badhazmi aur zakhmo ko mundmil karny ka rawayati istemal jadeed science se bhi sabit hai, Bohat se khany pakany mein istemal hony waly masalah jat ki tarha ye bhi jisam ke liye fayda mand bataya jata hai.
  2. Ye mukhtalif iqsam ki bacteria ko khatam kar sakta hai dar cheeni ka baqyda istamal cholesterol ko kam karny mein bhi bohat mufeed sabit howa hai.
  3. Mahireen sehat ki tehqeeq ke mutabiq dar cheeni ka rozmarah ke khano mein istemal bohat si bimariyon se bachata hai, Is ke alawah ye dil ki bimariyon aur shariyano mein khon jamny se rokhti hai.
  4. Dar cheeni ko sehad ke sath khany se quwat mudaft barhti hai jab ke dar cheeni mein shamil karny se becteria ki afzayesh kam hoti hai aur ye khany ko kharab hony se bachati hai.

Tuesday 15 March 2016

Sugar Ka Jari Botiyon Ke Zariye Ilaj Sugar Ka Ayurvedic Ilaj Treatment Of Sugar In Urdu

Sugar Se Aram Ke Liye Ayurvedic Medicine For Blood Sugar Control

Aj kal bohat se log sugar ki bimari main mobtala hoty hai woh bohat se doctor se medicine ly kar kha kar tang a chuky hoty hai lekin woh ye nahi janty ke qudarti jarhi botiyon se in ka ilaj mumkin hai in se jaldi aram a jata hai aur in ka koi nuksan bhi nahi hai bohat se log madicine kha kha kar un ko ilarji ho jati hai. Aik nuskha jis ko main ne sugar ke doran istamal kiya aur jis ke istamal se mujhy bohat zeyada rahat aur sakoon mila.

Sugar Ko Katam Karny Ke Liye Jari Botiyon Ka Istamal Karen




Ho Al Shafi andrain aur andar jo talakh hum wazan le ly donoh ko kot kar mila le aur kepsol bhar le. Shoro main subah sham aik aik kepsol lety rahian phir jese jese aram ata jay tadad ghataty jaye kepsol khany ke aik ghanta bad pani se istamal kary.