Pages

Wednesday 23 March 2016

Best Kharish Ka Desi Ilaj Skin Allergy Treatment Home Remedy Kharish Kay Liay Garelu Totky In Urdu

Kharish Ko Katham Karny Ke Liye Nuskha Homemade Skin Care Tips Kharish Se Nijat:







Kharish aik bohat bori bimari hai jis se insan bohay taklif mein rehta hai kharish do kisam ki hoti hai aik kuskh aur aik tar in do ki wajah se insan bohat taklif uthata hai is ka ilaj bohat asan ho geya hai hum asani se in dono tarha ki kharish se nijat hasil kar sakte hai.  Kharish chahy kuskh ho ya tar dono ke liye hi fayde mand hai, Mera chota beta jab aik saal ka tha to us ko bohat zeyada kharish parh gai aur mein pareshan ho gai kyn ke us ki peeth par bohat zakham ho gay thay aur us ki wajah se hum sub ko bhi kharish parh gai. Kafi injection lagway, Marham lagai, Dawaiya khilai maghar koi faraq na phara. Mujhy apny betey ki bohat fikar hoi ke itna chota hai kahin kuch ho na jaye. Phir hamain kisi ne bataya ke amla saar gandhak pees kar sarso ke tel main mila kar lagay. InsahAllah bohat jaldi aram a jay ga. Waqaei phir aesa hi howa aur itni jaldi aram a geya ke yaqeen hi nahi a raha tha.

Sunday 20 March 2016

Dar Cheeni Se Dil, Maeda, Matli, Flu Aur Shareyano Mein Khoon Jama Hony Se Rokny Ka Desi Ilaj Dil Ki Bimariyan In Urdu

Dar Cheeni Ke Fawayd Dalchini Ke Faide Vomiting Treatment At Home In Urdu








Dar cheeni ke bohat se fayde hai is ke istemal se hum maede ki aur dil ki bimari se bach sakhty hai dar cheeni ka rozmarah ke istemal se hamary hamary jisam mein aik quwwat peda hoti hai isse flu bhi katam ho sakhta hai dar cheeni se matli ki bimari se hifazat karta hai aur jisam mein kon jamny nahi deta.Baraysaghir ke khano mein garam masaloh ka istemal aik aeham juz hai, Dar cheeni ka baqayda istemal jaryan, Flu, Matli aur maeda ki kharabi ko katam karny mein madadgar sabit hota hai.



Dar Cheeni Benifits List In Urdu


  1. Dar cheeni ka badhazmi aur zakhmo ko mundmil karny ka rawayati istemal jadeed science se bhi sabit hai, Bohat se khany pakany mein istemal hony waly masalah jat ki tarha ye bhi jisam ke liye fayda mand bataya jata hai.
  2. Ye mukhtalif iqsam ki bacteria ko khatam kar sakta hai dar cheeni ka baqyda istamal cholesterol ko kam karny mein bhi bohat mufeed sabit howa hai.
  3. Mahireen sehat ki tehqeeq ke mutabiq dar cheeni ka rozmarah ke khano mein istemal bohat si bimariyon se bachata hai, Is ke alawah ye dil ki bimariyon aur shariyano mein khon jamny se rokhti hai.
  4. Dar cheeni ko sehad ke sath khany se quwat mudaft barhti hai jab ke dar cheeni mein shamil karny se becteria ki afzayesh kam hoti hai aur ye khany ko kharab hony se bachati hai.

Tuesday 15 March 2016

Sugar Ka Jari Botiyon Ke Zariye Ilaj Sugar Ka Ayurvedic Ilaj Treatment Of Sugar In Urdu

Sugar Se Aram Ke Liye Ayurvedic Medicine For Blood Sugar Control

Aj kal bohat se log sugar ki bimari main mobtala hoty hai woh bohat se doctor se medicine ly kar kha kar tang a chuky hoty hai lekin woh ye nahi janty ke qudarti jarhi botiyon se in ka ilaj mumkin hai in se jaldi aram a jata hai aur in ka koi nuksan bhi nahi hai bohat se log madicine kha kha kar un ko ilarji ho jati hai. Aik nuskha jis ko main ne sugar ke doran istamal kiya aur jis ke istamal se mujhy bohat zeyada rahat aur sakoon mila.

Sugar Ko Katam Karny Ke Liye Jari Botiyon Ka Istamal Karen




Ho Al Shafi andrain aur andar jo talakh hum wazan le ly donoh ko kot kar mila le aur kepsol bhar le. Shoro main subah sham aik aik kepsol lety rahian phir jese jese aram ata jay tadad ghataty jaye kepsol khany ke aik ghanta bad pani se istamal kary.

Monday 14 March 2016

High Blood Pressure Ke Ilaj Ke Liye Garelu Totkay High Blood Pressure Ka Alo Bukhary se Ilaj Garmiyon Ki Sabziyon Ke Zariye High Blood Pressure Ka Treatment In Urdu

High Blood Pressure Ke Lye Asan Ilaj Ke Liye Garelu Nuskhy

High blood pressure ke lye sat adad choti ilachi ke dany (dany kaly hona zarori hain), aik gulab ki patiya, in sab ko dedh cup pani main josh kar dye, pani adah cup reh jaye to neem garam pi lye. Kuch arsa ke istamal se blood presure normal ho jaye ga.

High Blood Pressure Ko Kaise Control Kiya Jaye Garmiyon Ki Sabziyon Se High Blood Pressure Ka Treatment



Garmiyon ki sabziyon main tinday bohat afadiyat ke hamil hain. In se na siraf jasmani kamzori katham hoti hai balkhy aghar koi high blood pressure ke mariz is musam main is sabzi ka kasrat se istamal kiya kary to is se in ki takleef main afaqa hota hai. Tindon ke alawah chulai ka sag bhi is marz ke lye bohat mufeed hai.




Alo bukhara pheet aur jigar ke sath sath blood pressure main barhi mufeed sheeh hai agar koi saksh blood pressure ke marz mubtala ho to usy khusk alo bukhary ke sath podina aur barik pisi howi sonf teen teen garam pani main rat bhar begho kar subah ke waqat nehar munh dena chahiye is se chand hi dino main buland fishar khon main aitadal ho jaye ga.

Jaman Fruit Ke Fayde Blood Pressure Kam Karne Ke Gharelu Nuskhe




Hasb e zarorat taza aur umdah moti jaman ly, Unhain kisi malmal ke kaprhy main dhal kar un ka ras achi tarha nathur lye aur dedh gunah qandh safeed mila kar is ka sharbat teyar kar ly sharbat ka kawam kacha na ho ye sharbat blood presure ke marizon ke lye nafah baksh hota hai.

Saturday 12 March 2016

Gurde Ki Pathri Katam Karny Ka Garelu Totka Kidney Stone Ka Desi Ilaj Treatment At Home In Urdu

Gurdy Ki Pathri Ka Garelu Ilaj


Aj kal buhat se logo ke gurdo main patri hoti hai aur jab wo doctor ke pas jaty hai to doctor unhain opreation ka bataty hai lekin hum ghar main bhi in ka ilaj kar sakty hain ab to hikmat ne bohat taraki kar li hai ke in ka ilaj opreation ke baghair kar sakty hain.




Gurde Ki Pathri Katam Karny Ka Nuskha


Hara daniya ki taza guti ko is ki dandi samet grinder main achi tarah pees lye, phir is ko chan kar kisi botel main mehfoz kar lye, pani itna milaye ke channey ke bad aik glas bhar jaye, har subah aik glas nehar munh pie lye, Insa Allah 15 se 20 din main wo pathri tot kar nikal jaye gi.

Rang Gora Karny Ka Tariqa Garelu Totkay Chehra Saf Karny Ki Home Remedy In Urdu

Rang Gora Kary Baasani Face White Karny Ka Tariqa




Rang gora karna har urat ka khawab hota hai har urat yahi cahti hai ke uska rang gora ho hum garelu totko se bhi rang gora kar sakthy hai rang gora karny ke bohat se tariqy hai lekin bohat se log unhay istamal nahi karty lekin ab log creams istamal karty hai jis se un ki jild karab ho jati hai kyu ke un main bohat se chemicals hoty hai jis se jild karab ho jati hai.

Face Whitening Home Remedies Kale Rang Ko Gora Karny Ka Tarika




Podeny ki patiya le unhain obal kar unka pani tandah kar ke nehar munh istamal kary.
Do adad gajar aik adad chaqandar aur adah lemon ka araq nikal ly aur har dosray roz piye
Lemon ka araq chehray par malny se bhi chehra saf sutrah aur gora ho jata hai.
Kisi bartan main pani obaly aur is pani ki bhaap apny chehray par ley is se chehray ke musam khulty hain aur chehray ka rang gora ho jata hai.
besan main zara si haldi dal de aur is main sarso ka tel milay is amezy ko rozana chehray par istamal karny se apki jild main nikhar a jata hai.

Friday 11 March 2016

Sugar Ko Khatam Karny Ka Tariqa Diabetes Ko Khatam Karny Ka Garelu Totkay In Urdu

Sugar Katam Karny Ke Kamyab Nuskhy





Sugar aik aesa maraz hai jo jisam ke tamam hison ko mutasir karta hai. Sugar ka marz ab pori duniya main aik wabah ki shakal ikhteyar kar cukha hai is marz ko aik jadid masharti bimari ka nam bhi diya ja cukha hai. Sorty hal ye ho gai hai ke europe aur america main kam log apny parents se dil, ayes aur gurdon ke imraz main mubtalah ho jaty hain.


Sugar Katam Karny Ka Nuskhay

Nuskha Num 1.

Anardana aik pao, Sonth aik pao, Podina aik pao. In tamam ko koot kar safof bana lye.
kurakh aik camach khany ke bad subah, Dupehar, Shaam pani ke sath istamal kary.

Nuskha Num 2.

Kalwanji 20 garam, Kortama 20 garam, Gond kekar 20 garam, Tukham sars 20 garam, Tukham jaman 20 garam. In tamam asyiah ko koot chan kar safof bana lye.
Kurakh subah shaam adah camach pani ke sath istamal kary.

Nuskha Num 3.

Shehad khalis aik kilo, Kalwanji 200 garam kalwanji ko piss kar shehad main mix kar de.
Kurakh aik camach chae subah nehar munh aur shaam soty waqat istamal kary garmiyon main aik camach aik cup pani main ghoal kar istamal kary. Hazoor Nabi Kareem (PBUH) ne irshad farmaya, Kalwanji har bimari ka ilaj hai siway mot ke (Bukhari Muslim) Abu Naem ne Umal Mumanin Hazart Ayesah Sadiqah (R.A) se rawyat kya hai, ke Hazoor Nabi Akram (PBUH) ke nazdik shehad bohat pyara aur aziz tha, Hazoor Nabi Kareem (PBUH) ko shehad is lye zyada mehboob tha ke Allah Talah jala-e-shanah ne farmaya hai ke is main shifah hai.

Thursday 10 March 2016

Darcheeni Aur Shehad Se Hadyon Ke Dard Ka Ilaj Garelu Nuskhy For Joints Pain In Urdu

Hadyon Ke Dard Ka Ilaj Home Remedy




Shehad ke sath aik camach darcheeni ka powder hadiyon ke dard ke lye mufeed
Tibi mahren ke muatabiq darcheeni herat angez tibih fawayd ki hasil hai aur is ka istamal kayi katarnak bimaryon se mehfoz rakh saktah hai.
darcheeni ke fawayd par ki gayi tehqiqat ke mutabiq rozana shehad ke sath aik camach darcheeni ka powder istamal karny se hadiyon ke dard main kami waqiya hoti hai. Tehqiqat se ye bhi sabat howa hai ke darcheeni konh main kolistarol ki satah ko kam karti hai jisam ko mukhtalif infenction se bacati hai jab ke is ke mustaqil istamal se yadastah bhi behtar hoti hai.

Haldi Powder Se Cancer Ka Ilaj Garelu Totkay Cancer Ka Ilaj Desi Totkay In Urdu

Haldi Power Se Cancer Ka Ilaj Momkin






Science tehqiq ke mutabiq haldi powder main paey jany waly zard rang ke zarat cancer ke cells ko tabah kar sakhty hain. Tawel arsay se kemiyai mady karkiyoman main ilaj ki kasosiyat ka zikar kiya jata raha hai aur isy pehly hi jorohn ke dard aur hafzy ki bimari ke ilaj ke liye test kiya ja raha hai. Ab corc cancer resarch center ki aik team ke tajarbat main ye baat samny ayi hai ke ye korakh ki nali main paye jany waly cancer cels ko tabah kar sakta hai. Cancer ke mahreen ka kehna hai beritis jarnal of cancer main hony wali nayi tehqiq ke natyje ilaj ke naye tariqy talas karny main madadgar sabith ho sakty hain.


Herbal Tareqy Se Cancer Ka Treatment


Doctor sheron mekina aur unki taem ko ye baat malom howi hai ke karkyoman 24 ganthy ke ander cancer selon ko katam karna shoron kar diya. Docter mekina ka kehna hai ke sciendano ko tawel arsy se malom tha ke haldi main paye jany zard zarat main cancer zada aeb dar selon ka ilaj karny ki salahyt majod ho. Cancer research uk main information ki dareiktor docter lezli wakar ke mutabiq ye aik dilcasph  tehqiq hai jis se haldi main qudharti torh par paye jany wale kemyai ajzah se korakh ki nali ke cancerke ilaj ki rahy kulh sakti hain. Bartaniya main har saal meday ki nali ke 7800 naye mariz samnyaty hain aur molakh main cancer se halak hony waly marizon main se panch fisad is bimari ka sikarh hoty hain.

Wednesday 9 March 2016

Chehre Ke Daag Mitane Ka Tareeqa Chehre Ke Daag Dhabe Door Karne Ke Tarike In Urdu

Chehry Ke Badnuma Dag Dhabby Aur In ka Ilaj




Chehry par majood dag dhabby hussan ke dushman hain jin ki wajjah se chehry ke naqsh
apni jazbyat koh dety hain. In dag aur chayion ko dor karny ke liye dhood ,balai aur mokhtalif
paloh ke ras istamal kiye jaty hain. kyn ke ye tamam asyhahalky bleach main shumar ki jati hain. Jesa ke sangtara muthdal tonar hain aur is ke ras bleach ke tor par chehray par istamal kiya jata
hai. Grape friut pain apple ka ras jilad ko saf rakhta hai aur isy mutahrik karta hai.

Pimple Herbal Treatment 




Narangi ke pholon ka arq bhi chehry se dag dhabby dor karny aur rang ko nikarny ke liye istamal kiya jata hai. Limon ka ras bhi halka bleachhai jo rangat saf karny,dag dhabby dor karny ke liye muysar hai is ko lagany ka tariqa ye hai ke limon ka ras chehry par laga kar isy koshk hony de jab
koshk ho jaye to monh hargiz na doay balky is ko isi tarah rehny de. Candh ros ke istamal se dag dhabby dor hona shoro ho jaye gai. kadoh kash ki hovi moli char khany ke camach le kar is main
candh katry sirky ke mila kar layi si bana lye. is ke ilawa makhan aur dhood unhain chehry ke dag dhabbon par misaj karty howy lagaye lakin koshk hony se pehly monh na doye is noskhy ka rozana istamal chehry ko saf saffafh banata hai.

Monday 7 March 2016

Balo Ko Lamba Karny Ka Tariqa Hair Long Karny Ki Garelu Tips In Urdu

Bal Ko Lambay Karny Ka Tariqa




Bal lamby kis ki khawies nahi hoti.is se urat ka hussan bharta hai is ke lye humain apny balon ki hifazat karna bohat zarori hai agar hum in ki hifazat kary gai to in ki khobsorti bhary gi.
Imli ko raat ko begho dy. subha is ke pani se sar doay is se bhi lamby ho jaty hai is amal ko hafty main teen bhar kary is kay narial ka tel istamal kary.

Karely Ka Istamal


Hair long karny ke liye karele ki jar pees kar balon main lagana mufeed hai.

Sunday 6 March 2016

Sabz Kehwa Aur Green Tea Ke Zariey Wazan Kam Karny Ke Garelu Totky In Urdu

Sabz Kehwa Se Wazan Ghatay Lose Weight Tips





Soft drinks pena band kijay. jitni bhi cola masrobat hoty hai un main aik choti regular botal ya aik
normal glass 18-20 chamach chini ke hoty hai aur soda cola ki ye botlay apkey wazan main
betahasa azafa karny ka mojab banti hai. jo key sarasar gher sehat mand hota hai.

 

Garelu Nuskhe For Weight Loss Sabz Kehwa Aur  Green Tea


Sabz kehwa ka istamal apkey wazan main badtedreej kami lany ka sabab banta hai kynke is main
koi harary ya calories shamal nahi hoty bashart ye ke ap is main chini ka istamal na kary. mazeed
bharah ye ke is main chiknai ko jalany wali khasosiyat bhi majood hoti hai. chanaca din main 2 se 3
cup baghair chini sabz kehwa ke pene se apkey bhary howy wazan main khatir khawa kami waqya
ho sakti hai.