Pages

Thursday 14 July 2016

Pani Se Chehra Khubsorat Karny Ke Tariqy Pani Se Sehat Banany Ka Tariqa In Urdu

Pani Se Chehra Khubsorat Karny Ka Tariqa Aur Pani Se Sehat Banay




Insani sehat ke liye pani ki bohat zeyada ehmiyat hai. Pani ke munasab istamal se chehry ki khubsorti mein bhi azafa kiya ja sakta hai khawateen chehry ki jild ko saf sotrah aur shadab banany ke liye tarah tarah ke jatan karti hai taham sirf pani ke chand galas wo kam kar sakty hain jin ke liye khawateen mehngy lostion aur creamy istamal karti hai pani hamari jild ko qudarti nami farahm karta hai aur lostion ya dighar maoshraizarz se hasil hony wali nami is ka muqabla nahi kar sakti, is maqsad ke liye waqfy waqfy se pani piny ki adat bana le. Mahireen ke mutabiq sirf life style mein misbat tabdili la kar chehry ki tazgi bahal ki ja sakti hai. Agar ap raat deer tak jaghny aur subha deer tak sony ki adat hai tou isy badalna ho ga, raat jitni jaldi  mumkin ho so jay aur subha soraj nikalny se pehly bedar ho hon,  uthny ke bad sab se pehla kam pani pina hai is ke bad aik ghanty tak nashta kary pani hamesh khany se qabal piye ya khany ke doran chand ghont pani pi lye taham khana khatam karny ke bad pani piny se na sirf maeda kharab hota hai balke jighar ke masayal peda hoty hain aur yon chehry ki ronaq mein bhi kami ati hai. Din mein kam z kam teen litr pani zaror piye koshish kary ke peyas lagny se qabal pani pi le. Din mein aik bar kisi bhi waqt aik galas pani mein aik khany ka chamach chini aur do chotki namak mix kar ke piye is se na sirf tawanai bahal rahy gi balky namkiyat ki kami bhi kisi had tak pori ho gi. Pani se chehra dhona bhi jild ki tarotazgi mein azafa karta hai gharmiyon ke mousam mein din mein kam z kam 5 bar thandy pani se chehra dhoye, agar ap ki jild chikni hai tou phir is se bhi zeyada bar dhona mufeed rahy ga.

Chehry Ki Jild Mein nikhar Pedha Karny Ke Garelu Nuskhy Chehry Ki Chaiyon Aur Dano Se Bachny Ki Home Remedy

Jild Ki Hifazat Chehry Ke Husan Mein Nikhar Pedha Karny Ke Garelu Totky







Chehry ki hifazat urat ke husan mein nikhar pedha karti hai jis se urat ka husan aur barh jata hai har urat yahi chahy gi ke us ke husan mein nikhar pedha ho aur din b din us ka chehra nikhry. Husan wo sika hai jo dilo par chalta hai. Hussan ki ehmiyat kisi dor mein kam nahi hoi balke is ki ehmiyat mein roz afzon azafa hi howa hai. asar hazir mein tou feshion ka shaor har khaton ko hai jabhi tou madals aur feshion se wabsta khawateen se le kar gharelo khawateen tak sabhi apni jild aur rangaat ke bary mein bohat muhtaat rehti hai. Nit nai creamy aur totko ka istamal aam hai lekin yaha par ye dekhna zarori hai ke bazari creamon aur mask mein bohat zeyada cemicalls shamil hoty hai is liye ghar mein majood qudarti ashiya se mask teyar kiye jaty hain jo har tarah ke muzar asraat se pak ho gai. Chand aik darjah zeel hai:





Chayion Ke Liye:

Adha chamach lemon ka ras , adha haldi aur do chamachy shehad mila kar mask bana le aur hafty mein do teen bar istamal kary.

Dano Ke Nishanat Ke Liye:

Roghan zetoon aur roghan kado hum wazan mila kar chehry par un jaghon par lagay jaha dano ke nishanat reh gai ho is masaj ka istamal us waqt tak kary jab tak nishanat mukamal toor par khatam na ho jay.

Ghandi Rangat Mein Nikhar Pedha Karny Ke Liye:

Doodh aur asli shehad hum wazan baham mila le aur rozana das se pandrah mint ke liye is ka mask lagai.

Kushak Jild Ko Jhariyon Se Bachany Ke Liye: 

Badam ka teel, araq  e Gulab aur cester oil hum wazan mila kar rakh le aur hafty mein aik bar is ka mask lagai.

Kalwanji: 

Daniya aur chanbeli ke arqiyat ko barabar miqdar mein mila kar rakh le. Rozana das se pandrah mint in ka chehy par misaj kary aur phir neem gharam pani se munh doh le. Is se na sirf chehry ki calinzing ho jay gi balky tamam mussam khol jay gai aur dorany khoon bhi taez ho ga.